kya kya kya "ek hi toh zindagi hai, isko ro ke ya sad hokr na bitaye" kabhi punarjanam, purvajanam ka naam suna hai! π€£π€£π€£ Hume apne paapo ka phal to bhugatna hi padega π± Hume jiwan aur mrityu ke chakra se aajad hone ki kosis karni chahiye na ki jiwan ke moh maya me phaskar manav jiwan ko barbaad karna chahiye. Hume 36 lakh yoniyo ke baad manusya yoni me janm Mila hai isliye Sri Ram ji ke charnon me apna jiwan arpit kar de. ye sab baatein hume Hindi subject me padhaya jata hai, Ramayana, Mahabharata me bataya jata hai aur hum har pal in sab baaton ko soch soch ker darte rehte hai to aap hi bataye kaise jiye jindagi, hume ye hi samajh me nahi aata ki hume jindagi mili hi kyu hai to kya kare kaise khush rahe. khus rahe apni jindagi apne hisab se jiye to uper likhi baaton se dar lagta hai aur yadi uper likhi baaton ko manney ki kosis kare to khud ko hi bewakoof bolte hai. ab boliye. π